Zindagani mein Madine ka safar acchha laga

Jo Madine tak gaya wo hamsafar acchha laga

 

Kya bataun kis kadar kya noore b’har acchha laga

Mujko Sarkare do aalam ka Nagar acchha laga

 

 

 

Tha Madine ke safar mein kamli wala sath sath

Tha safar bhi khub lekin hamsafar acchha laga

 

Kitne acchhe bakht hein Ayyub Ansari Tere

Sare Tayba mein Nabi ko Tera Ghar acchha laga

 

Hoke do neema gaya qadmon mein Tere Ya Nabi

Teri ungli ka nishana chand par acchha laga

 

Jab Niyazi mein mehfil mein padhi Naat-e-Nabi

Kya bataun bazm ko mein kis kadar acchha laga