Sare Mehfil Karam Itna Meri Sarkar Ho Jaye

Nigahein Muntazir Reh Jaayein Aur Didar Ho Jaye

 

Tasawwur Mein Teri Har Shey Pe Yun Nazrein Jamata Hun

Na Jane Kaun Si Shey Merin Tera Didar Ho Jaye

 

Gulame Mustafa Ban Kar Mein Bik Jaun Madine Mein

Nabi Ke Naam Par Soda Sare Bazar Ho Jaye

 

Sambhal Kar Paaon Rakhna Hajiyon ! Shehre Madina Mein

Kahin Aesa Na Ho Sara Safar Bekar Ho Jaye

 

Mein Gum Itna To Ho Jaun Teri Zaate Aali Mein

Jo Aankhein Band Ho Jayein Tera Didar Ho Jaye

 

Sare Mehfil Karam Itna Meri Sarkar Ho Jaye

Nigahein Muntazir Reh Jaayein Aur Didar Ho Jaye