Pushton se mein naseer hun mangata Hussain ka

 

Wirse mein maine paya hai sadka Hussain ka

 

Kafi Hai Mere Waste Naqde Hub-e-Hussain

 

Chalta Hai Har Jahan Mein Sikka Hussain Ka

 

Nabiyon ki roze hashr ye farmaishen na hon

 

Azan ho Bilal ki Sajda Hussain ka

 

Iska subut de diya Asgar ki jang ne

 

Sheron ka Sher hota hai bacha Husain ka

 

Maidan-e-Hashr ki muje kya fikr ho Naseer

 

Bhari hamesha raheta hai palda Hussain ka

 

Iska Saboot De Diya Asghar Ki Jang Ne

 

Sheron Ka Sher Hota Hai baccha Hussain Ka