Naat-e-Paak Unko Sunaun Sabz Gumbad dekh kar

Ishk mein Aansu bahaun Sabz Gumbad dekh kar

Sadka-e-Zohra bulalein Ya Nabi ! Dar par Mujhe

Pyas Mein Dil ki bujaun Sabz Gumbad dekh kar

Naat-e-Paak Unko Sunaun Sabz Gumbad dekh kar

Ishk mein Aansu bahaun Sabz Gumbad dekh kar

Mangte hein Jis Jagah se aake Sare Taajdar

Lab Waa hein Aankhein band hein fayli hein Jholiyan

Kitne maze ki bhik Tere Paak Dar ki hai

Mangenge Mange Jayenge Munh Mangi Payenge

Sarkar mein Na Laa hai Na Hajat Agar ki hai

Mangte hein Jis Jagah se aake Sare Taajdar

Mein bhi Jholi ko bichhaun Sabz Gumbad dekh kar

Naat-e-Paak Unko Sunaun Sabz Gumbad dekh kar

Ishk mein Aansu bahaun Sabz Gumbad dekh kar

Unke Dar par ho Muyassar Mustakil yun Hazari

Zindagi Sari bitaun Sabz Gumbad dekh kar

Naat-e-Paak Unko Sunaun Sabz Gumbad dekh kar

Ishk mein Aansu bahaun Sabz Gumbad dekh kar

Tik Tiki bandhe Mein dekhun Roza-e-Khairul Bashar

Har Gadi Apni Sajaun Sabz Gumbad dekh kar

Naat-e-Paak Unko Sunaun Sabz Gumbad dekh kar

Ishk mein Aansu bahaun Sabz Gumbad dekh kar

Mere Honthon par Duroodon ke hon Nagme Har Gadi

Noor ki Khairat paaun Sabz Gumbad dekh kar

Naat-e-Paak Unko Sunaun Sabz Gumbad dekh kar

Ishk mein Aansu bahaun Sabz Gumbad dekh kar

Lillah Ab Imran-e-Aajiz ko bula lijiye Huzur

Apna Gham Ro kar Sunaun Sabz Gumbad dekh kar