Karbala ki hai yaad Aayi ab Ashk bahaane do Lyrics

 

Karbala ki hai yaad Aayi ab Ashk bahaane do

suey huey pehlu mein sab dard jagaaney do

 

Sughra (radi Allahu ‘anha) sey kahaa Shah (radi Allahu ‘anhu) ne, mat roko mujhe beti

Deen lutatha hai Nana ka sar dey key bachaaney do

 

Akbar (radi Allahu ‘anhu) ki shahadat par Sakeenah (radi Allahu ‘anha) sey kahaa Shah (radi Allahu ‘anhu) ne

armaan ka yeh lashaah mujh ko hi lutaney do

 

Qur’an mera dil hai Qur’an ki mein jaan hun

Qur’an ko neyzay par Qur’an sunaaney do

 

Fatimatu Zahrah (radi Allahu ‘anha) ka hai doodh piya mein ney

is doodh ki Karbal mein ab laaj nibhaaney do