Izn-e-Tayba Muje Sarkar-e-Madina dedo Lyrics

 

 

Izn-e-Tayba Muje Sarkar-e-Madina dedo

Le Chale Mujko Jo Tayba wo Safina dedo

 

Yaad-e-Tayba mein tadapne ka Kareena dedo

Chashme Tar Soze Jigar Shahe Madina dedo

 

 

 

Chaar Yaaron ka Tujhe Wasita deta hun Shaha

Apna Gham Mujko Shahensha-e-Madina dedo

 

Sadka Shahzadi-e-Kaunain ka Pyare Aaqa

Mujko dedo Mere Sarkar-e-Madina dedo

 

Wakt-e-Akhir hai chali jaan Rasool-e-Akram

Ik Jalak Apni Shahensha-e-Madina dedo

 

Kasrat-e-Maal ki aadat se bacha kar Aaqa

Apne Attar ko ulfat ka khazina dedo