Gunahon ki nahi jati hai adat Ya Rasulallah Lyrics

Gunahon ki nahi jati hai Aadat Ya Rasulallah

Tumhi ab kuchh karo Maahe Risalat Ya Rasulallah

 

Mein bachna chahta hun haaye fir bhi bach nahi paata

Gunahon ki padi hai Aesi Aadat Ya Rasulallah

 

Gunaah kar kar ke haaye ho gaya Dil sakht patthar se

Nahi par Is pe haaye kuchh nadamat Ya Rasulallah

 

Laga takiya gunahon ka pada Din Raat sota hun

Muje ab khwabe gaflat se jagado Ya Rasulallah

 

Mein hun sunni rahu sunni maru sunni Madine mein

Baqee e paak mein ban jaaye Turbat Ya Rasulallah

 

Shaha Attar aana chahta hai Tere Roze par

Ataa ho haazari ki fir Ijazat Ya Rasulallah