Fatima Teri Chadar ka kya puchhna Lyrics

Saiyyida Tayyiba Tahera Aabeda

Saiyyida Fatima Saiyyida Fatima

 

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna

Teri Chadar ka Ahesan Islam par

Teri Chadar ke Tukde Bahattar hue

Un Bahattar ka Ahesaan Islam par

 

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna

 

Ya Saiyyida Ya Fatima

Ya Saiyyida Ya Fatima

 

Saiyyida Tere Baba Habibe Khuda

Tere Shohar heim Maula Ali Murtaza

Tere Bacche Shahidane Karbo Bala

Tere Ghar-Bar ka Ahesaan Islam par

 

Saiyyida Fatima Saiyyida Fatima

 

Husain ban ke Zamane mein chha gayi Zaynab

Zabaan ki Teg se Kufa hila gayi Zaynab

Qadam Qadam pe jalaye Husainiyat ke Charaag

Diye Yazeed ke Sare bujaa gayi Zaynab

 

Rann mein Zaynab ne yun Haq adaa kar diya

Yani Tameele Hukme Khuda kar diya

Apne Bacchon ko Deen par fida kar diya

Aesi Madar ka Ahesaan Islam par

 

Ya Saiyyida Ya Fatima

Ya Saiyyida Ya Fatima

 

Zikr Jaanbaaz Talib kare kya bayaan

Lut gaye Rann mein Jab saare Piro Jawaan

Had to ye hai ke ek Tishn Lab be-zubaan

Nanhe Asghar ka Ahesaan Islam par

 

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna

 

Ya Saiyyida Ya Fatima

Ya Saiyyida Ya Fatima