Faraz e Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda

 

Bana He Kaabe Ka Tugra Hussain  Ka Sajda

 

 

 

Har Ek Sajda Baraati Lage Hai Mehshar Main

 

Bana Hai Hashr Main Dulhaa “Hussain Ka Sajdah

 

 

 

Janaab-E-Fatma Zahraa Ne Apni Aanchal Main

 

Bahut Sambhaal Ke Rakhkha Hussain  Ka Sajdah

 

 

 

Bashar Bashar Hai Malaaik Bhi Jispe Nazaa Hain

 

Ada Huwa Hai Kuch Aisa Hussain Ka Sajdah

 

 

 

Namaz-E-Arsh Ka Tohfa Baraa-E-Ummat Hain

 

Aur Baraa-E-Arsh Hai Tohfa Hussain Ka Sajdah