Aye Shahenshahe Madina, assalat-o-wassala or

 

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam

zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam

 

Rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay

Rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam

 

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,

zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam

 

sar jhuka kar ba adab ishq-e Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may,

keh raha he har sitara assalat-o-wassalam

 

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,

zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam

 

mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood

he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam

 

ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,

zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam

 

mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d

mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam

 

ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam

zeenat-e-arshe mu’allah, assalat-o-wassalam

 

jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka

ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,