Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Naat Lyrics

 

Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Maare Salam Kehte Hain

 

Yaad Karte Hain Tum Ko Shaam O Sahar

 

Dil Hamare Salam Kehte Hain

 

Allah Allah Huzoor Ki Batain, Marhaba Rang O Noor Ki Batain

 

Chaand Jin Ki Balayen Leta He, Aur Tare Salam Kehte Hain

 

Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Maare Salam Kehte Hain

 

Aashiqon Ka Salam Le Jao, Gham Zadon Ka Payam Le Jao

 

Hajio Mustafa Se Keh Dena, Be Saharay Salam Kehte Hain

 

Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Maare Salam Kehte Hain

 

Zikar Tha Aakhri Mahine Ka, Tazkara Chhir Gaya Madine Ka

 

Haji Mustafa Se Dena, Gham Ke Mare Salam Kehte Hain

 

Aye Saba Mustafa Se KehKeh Dena Gham Ke Maare Salam Kehte Hain

 

Zair E Tayyiba Too Madine Mein, Pyare Aaqa Se Itna Keh Dena

 

Aap Ki Gard Raah Ko Aaqa, Chaand Tare Salam Kehte Hain

 

Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Maare Salam Kehte Hain

 

Sabaz Gumbad Ka Aankh Mein Manzar, Phir Tasawar Main Aap Ka Mimbar

 

Samnay Jaliyan Hain Roze Ki Aajzi Se Salam Kehte Hain

 

Aye Saba Mustafa Se Keh Dena Gham Ke Maare Salam Kehte Hain

 

Yaad Karte Hain Tum Ko Shaam O Sahar, Dil Hamare Salam Kehte Hain