Aye Rasool E Ameen Lyrics

Be Khabar Tu Jauhar-i Aa’inah Ayyaam Hai

Tu Zamaane Mai Khuda Ka Aakhri Paigham Hai.

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen

Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen

Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen

Bazm-e-Kaunain Pehle Sajaa’i Gayi

Phir Teri Zaat Manzar Pai Laayi Gayi

Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana

Mere Bas Mai Nahi, Dastaras Mai Nahi

Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi

Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana

Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi.

Ae Rasul-e-Amin, Tujh Sa Koi Nahi

Dast-e-Qudrat Ne Aisa Banaya Tujhe

Jumla Awsaf Sai Khud Sajaya Tujhe

Ae Azal Ke Haseen, Ae Abad Ke Haseen

Dhoondhti Hai Tujhe Meri Jaan-e-Hazeen

Tera Sikkah Rawa Kul Jahan Mai Huwa

Is Zameen Mai Huwa, Aasmaan Mai Huwa

Kya Arab Kya Ajam Sab Hai Zair-e-Nagin

Taubah Taubah Nahi, Ko’i Tujh Sa Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen

Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen

Tujh Sa Koi Nahi, Tujh Sa Koi Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen