Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam lyrics

Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam

 

Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam

 

Faqeeron Ke Haajat Rawaa Gaus e Aazam

 

Ghira Hai Balaaoñ Meiñ Bandaa Tumhara

 

Madad Ke Liye Aao Ya Gaus E Aazam

 

Tere Haath Meiñ Haath Maine Diya Hai

 

Tere Haath Hai Laaj Ya Gaus E Azam

 

Mureedoñ Ko Khatra Nahiñ Behre Gam Se

 

Ke Bede Ke Haiñ Naakhuda Gaus E Azam

 

Tumheeñ Dukh Suno Apne Aafat Zadoñ Ka

 

Tumheeñ Dard Ki Do Dawa Gaus E Aazam

 

Bhañwar Meiñ Phansa Hai Hamara Safeena

 

Bachaa Gaus E Aazam Bachaa Gaus E Aazam

 

Jo Dukh Bhar Rahaa Hooñ Jo Gam Seh Rahaa Hooñ

 

Kahooñ Kis Se Tere Siwa Gaus E Aazam

 

Zamaane Ke Dukh Dard Ki Ranj O Gam Ki

 

Tere Haath Meiñ Hai Dawaa Gaus E Azam

 

Agar Sultanat Ki Hawas Ho Faqeeroñ

 

Kaho “Shai Al Lillah” Ya Gaus E Aazam

 

Nikaala Hai Pehle Tho Doobe Huwoñ Ko

 

Aur Ab Doobtoñ Ko Bacha Gaus E Aazam

 

Jise Khalq Kehti Hai Pyaara Khuda Ka

 

Usi Ka Hai Thu Laadla Gaus E Aazam

 

Phañsa Hai Tabaahi Meiñ Beda Hamaara

 

Sahara Lagaa Dhu Zara Ghous E Aazam

 

Mashaaikh Jahaañ Aaye Bahr E Gadaai

 

Wo Hai Teri Daulat Saraa Gaus E Aazam

 

Meri Mushkiloñ Ko Bhi Aasan Kijiye

 

Ke Haiñ Aap Mushkil Kusha Gaus E Aazam

 

Wahaañ Sar Jhukate Hai Sab Uñche Uñche

 

Jahaañ Hai Tera Naqsh E Paa Gaus E Aazam

 

Qasam Hai Ke Mushkil Ko Mushkil Na Paaya

 

Kaha Hum Ne Jis Waqt Ya Gaus E Aazam

 

Muje Apni Ulfat Meiñ Aisaa Guma De

 

Na Paaoñ Phir Apna Pataa Gaus E Aazam

 

Bachaale Gulaamoñ Ko Majbooriyoñ Se

 

Ke Tu Abd E Qaadir Hai Ya Gaus E Aazam

 

Kahe Kis Se Jaakar Hasan Apne Dil Ki

 

Suney Kaun Tere Siwaa Gaus E Aazam